Fareb

फ़रेब

   
 

 

 
   

 
   
 

 

====

Weh khwaab jineh
khudd tu yahan chorr gayi
ek bacche ki tarah
ungli pakad lete hain.

Karte hain zidd ki unhe
ghar tere sula aaoon
daanta hoon tow
mujhe dekh ke ro dete hain.

Kya karen qasmakash yahi
raat ko sulati nahin
Dinn mein dhoondo tow woh
paas bhi aati hee nahin.

Kya mera pyar yeh
sach nahin banawat hai.
Kya yeh fareb hai
jisne mujhe rulaaya hai.

Leave a comment